ANTIM
Kisi din to Mai marungi,
Kisi din to ant hoga hi mera.
Kisi din to maut meri chhati se lipat kar kahegi,
Bahut hua jeevan yapan,
Kuch jeevan, jeevan ke bad ke liye bhi chodh do anuyayi,
Aaj tumhari mrityu ka var hai
Aaj tumhara aakhiri somvar hai
Aaj tumhara antim akhbaar hai
Aaj tumhara antim aahar hai.
Maine jab mrityu ko gaur se dekha,
Mujhe kuch khas anubhav nhi hua,
Laga hi nhi ye ant hai,
Kahi ye koi nayi shuruwat ki jalsa to nhi?
Kahi ye kisi se dobara mulakaat ka mutalba to nhi?
Kahi ye agrim jeevan ko sugam karne ki pahal to nhi?
Kya mar jana, manav ka ant hai?
Kya manav ka maatr shareer rah jana, itna turant hai?
Kya vapas kabhi laut kar na aa pana, ek shashvat sach hai?
Kya brahmand ka chalak, manav sa Pathbrasht hai?
Vichar magan mrityu ne kaha,
Jeevan ek bharam hai ,
manav ek chhal hai,
bharamad ek mithya hai,
Aur ek matra ant hi to sach hai.
Ant mai hi aantrik man basa hai,
Ant mai hi srishti ka kal basa hai
Ant mai hi kaaynat ka vidroh adig hai
Ant ne hi to manav aur rakshas ka aisa roop racha hai.
Mrityu koi ant nhi,
Jeevan bhi antim ho sakta hai,
Jeevan koi shuruwat nhi
Mrityu bhi aagaz ho sakta hai
Vidhata koi Sarvgayni nhi
Rachayita bhi vidhvansh ho sakta hai
Sneh koi chhalava nhi
Prem bhi satya jo sakta hai,
Mrityu se vartalaap karke,
Sahsa jab mai uth khadi huui,
Tab meri antar drishti ka prakash jagmaya
Manviy mulayo ka avlokan kar,
Mrityu ko maine sahaj roop se yu gale lagaya
Ant hua jab mera
Ant hua kashto ka
Ant hua chehro ka
Ant hua savero ka
Ant hua mulyo ka
Ant hua maulik ka
Mai hua srishti ka
Mai hua sidhi ka
Mai hua smriti ka
Mai hua mukti ka.
Dhanyavaad
Comments
Post a Comment