Desh ke nirmata
Desh ka nirmata
Bhaag - 1
Itihas bana kar vo chale gaye,
Ham use dohrate hai
Jo jabaz the vo dilo par dastak dekar yu gum hue,
Ki farishte bhi unhe vapas bulate hai!
Qayamat ka din kaidkhano ki rate,
Shanti mai shikast aur shor mai baate,
Karte Hain vo.
Jaise ki talvaro ki yaden aur gunaho ki barikiya aankho mai sekakar khwabo ki khwahishaht mai samtetkar aage badhte hai vo.
Gana tha inka aazadi,
vo jabaz
Unmado mai chadh gye faasi
Kya gam tha
Kya khushi
Kya zinda dili
Kya berukhi ki barbadi
Kya zinda dili ka karna tha?
Aazad Bharat hi unka ek sapna tha.
Jo aazad nhi hai aaj
Unhe neend ka kaise hota hai ahsas?
Lad gye vo Iss matar bhumi ke liye,
Bah gye vo angaro pr
Kya Baat thi unki
Kya raaz the unme
Kya Dard mai bhi ulas bharte the vo,
Ruh mai chingari se ladte the vo
Swatantra hame de gye
Par chadh gye bali apne bal par
Bharat bhoomi hame paros kar,
Vida li unhone ham par karke upkar sau
Ham lad na sake,
par ham padh rhe hai,
itihas ke pano mai amal,
aaj ham unhe yad kar rhe hai
tihas bana gye vo itihas ke nayak
Desh ke nirmata ,
jo hai anek smirityo ke layak!
Bhaag - 2
Pavan soch, pavan log!
Karya kushal
aur desh mangal!
Dainik vichar ,
matrabhumi se pyaar !
Kya hi bole ,
apne dil ka hal,
Ishq kiya jab desh se ,
to darindo ko nipta gye,
Desh ke nirmata ,
ek aisa desh bna gye!
Jo vifal paristhiyo mai uth khada hota hai,
Bahti nadiyo mai ,
sagar ke paani ka srota hai!
Itihas ke nirmata ,
nirman ka naksha thama gye,
Bharat desh bna gye,
Bharat bhumi ko sja gye!
Anek jatio , pranto, bolio, bhashao ,
Ko isme mila gye!
Desh ke nirmata ek aisa desh bna gye,
Ki desh ke har ek nagrik ko nishtha ka gyan batla gye!
Kya kahna unka vo to mar kar bhi,
Kuch hame sikha gye!
Kya gatha unki vo to toote hue dilo ko,
Narmi se apnayiyat ka pawan sharbat pila gye!
Kya pakistan?
Kya hindustan?
Ek si maati!
Ek sa asman!
Ek si boli!
Ek hi paridhan!
Ek sa huliya!
Ek sa makan!
Ek se log!
Ek si pahchan!
Desh ke nirmata ek aisa desh bna gye,
Ki itihas ke sawal mai apni maulikta mila gye!
Desh ke nirmata , ek aisa desh bna gye,
Jo sandesho ke sailab mai kafan ki kifayati siyahi,
Se itihas ke aksharo mai apne aap ko do loko mai dafana gye.
Kabr bhi uski,
Par maut mai bhi vo hame ye seekha gye!
Ki desh ke liye moh ho,
To Desh se hi ho !
Desh ke nirmata ,
Itihas ko batla gye!
Ki hindustan koi aam desh nhi hai,
Ye to apne aap mai sau sansaaro ka chalak hai!
Kyuki bharat bhumi hi itni pawan hai,
Ki yaha anginat jatiyo ka saalbhar sawan hai!
Itihas ki parato mai,
Ye apna balidan basa gye!
Desh ke nirmata,
Maut se gale milkar bhi muskura gye.
Nyochavarta ke balbute par he tyag ka path padha gye,
Desh ke nirmata ,
aaj ke yuva ko ye sikha gye,
Ki itihas itihaskaro se nhi,
Atihasic karyo se banta bigadta hai,
Desh umeedvaro se nhi,
Desh ki janta ki qurbani se hi vastavikta mai ubharta hai!
Bhaag - 3
Desh ke nirmata ye kaisa desh bna gye?
Jo bhedhbhavo ko aabhushan ki tarah pahan kar,
Ise apna shringar samajh samajhta hai!
Desh ke nirmata ,
Ye kaisa desh bna gye?
Ki lok ki lokikita ko anek loko mai lauta gye!
Desh ke nirmata ye kaisa desh bna gye?
Jaha na aurat aazad hai?
Na gareeb ka koi humraz hai?
Desh ke nirmata ye kaisa desh bna gye?
Jaha ameer kush,
Aur deen hatash hai!
Desh ke nirmata ye kaisa desh bna gye?
Jaha balatkar ka visfot,
Hamare saro par saja ek taaj hai !
Desh ke nirmata ye kaisa desh bna gye?
Jaha kisi ko milta hai poore se bhi zyda?
Baakio ki halat aisi ki sabne ek mai se hi hai,
Aadha sa adhoora batan.
Desh ke nirmata he kaisa desh bna gye?
Jo darshanikta ke dawesh mai,
danikta ko dafna gye!
Desh ke nirmata ye kaisa desh bna gye?
Jaha yuva hai buri aadato ka shikar,
Aur buzurg hai hasas.
Desh ke nirmata ye kyu nhi batla gye?
Ki desh nagriko ki naitikata ki neev hai,
Na ki itihaskaro ki zimmedari!
Desh ke nirmata inhe kyu nhi sikhla gye?
Ki aisi samajhik vikratiyo mai,
Desh ka kya fakr jaayega kaata!
Desh fir jaaega apne apne moh mai batan!
Bhaag - 4
Desh ke nirmata!
Tum hi btao!
Ye desh hai kiska ?
Tumhara ya hamara!
Ya uss kudha ka?
Desh ke nirmata !
Tum ek baar to itihas ke panno se chilao
Aur kah do aaj!
Ye desh hai, uss jawan ka!
Jo raato ko chain se sota nhi hai,
Aur din mai hai jhapkiya khata!
Jo sal dar sal apne parivaro se milta nhi hai,
aur na hai apne ghar jata!
Jo qurbanio ki kashti mai karhata nhi hai,
Na hai chunatiyo se ghabrata!
He desh ke nirmata!
He desh ke nirmata!
Itihas ki hai ye gatha!
Ki bharat maa ka hai tu hi ek sujata!
Leeza
Great π
ReplyDeleteGreat π
ReplyDeleteπΈπΏπ
Delete