Haa janab mohabbat ab bhi hai, par

 Log Baat kar rhe hai

Galib, tumhare baare main,

Mere kano mai vo afvah pichle saptah hi Aa gyi

Ki tumhari baho mai fir ek nayi haseena apna ghar basa gyi


Par vo bechari, 

tumhari mohabbat ki mari,

Sandhya mai sadak kinare bilakh rhi thi,

Maine usse uske ashko ka karan poocha,

To vo tumhara Naam lekar tumhara jasbati jikar padh rhi thi


Par vo bhi vaisi hi masoom thi,

Jaise pahle mai hua karti thi,

Vahi kahani, vahi karnama


Mohabbat abhi bhi baki hai,

Par chahat ke makbare, ko tum aag laga gye,

Sukoon mai besukooni ka zahr mila gye.


Aur ab tum mujhe vaise hi dundhte ho,

Jaise vo tumhe Aajkal dhundh rhi hai,

Par kya kare,

Mohabbat abhi bhi hai,

Par chahat vakt ke vaaydo ne vasool kar li,

Aur mom mombatti  ki mashal mai sholo ki shokhio ke roop mai pighal li.


Ha Galib, mohabbat ab bhi hai, 

par bekadari ki Aarzo tumhara mustakbil kha gyi,

Usi tarah jis tarah ek din main ghutne par baithi thi,

Aaj tum baithe ho,

Par meri hasrat tumhari Ruh ko inkar ki hassi mai uda gyi


Leeza

Comments

Popular Posts