Hassi ki vajah, muskan ki tah, kholo to jaano
Har hassi ke peeche kushi nhi hoti,
Kuch muskano bewajah bhi hoti hai.
Jo log kahte hai,
Vo log kahte hai.
Ki tum sunte nhi,
Ki tum mere the,
Ya tum mere ho,
Ya tum uske ho.
Ye pyaar ka izahar ,
Bewafai ki chadar mai.
Pair pasare gahri nidiya so gya .
Mai kya batao,
Tum galibo ko.
Tum gazal purani gaate ho,
Purana vakt dohrate ho .
Aur fir udas ho jaate ho.
Ye beete vakt ki baate hai,
Inhe hoto par mat lao.
Ye beete vakt ki baate hai,
Ho sake to inhe aaj mat dohrao.
Tum shayar ho us shaks ke,
jo tumhe tanha chodh gya,
Tum soch ke ek baar dekho!
Ki kya vo parva karta tha?
Chodho bhi,
Ab jaane do.
Yaad uski ,
Use hi aane do.
Tum kyu aaso bahate ho,
Aakhe apni nam kar jaate ho?
Tum ek baar meri taraf dekho,
Tum ek baar bekhabar hokar jeena to seekho,
Are fakir bhi,
Shayar hota hai.
Aur shareef bhi,
Katil hota hai.
Tumhe kya pta,
Uss jagmagati hassi ke peeche,
Gulabi hoto ke peeche,
Kisase kitni nafrato ka sarfaramosh dokha hai.
Mai fikra nhi rhi,
Bass ek baat btlati hui,
Tum kisi aur ke hokar to dekho,
Tum kyu usi ki tasveer ko dohrate ho.
Maan liya vo haseen thi,
Par kya vo hi haseen thi?
Maan liya vo zaheen bhi thi,
Par vo kirdare- zaheen na thi janab.
Uske khayalo mai khushfahmi thi,
Khwabio mai tha afasana khudhparastata ka.
Vo vakiye mai vakt maangkar,
Kudh mukar jati thi,
Vo vastav mai ,
Zahiniyat ke zuram ko anjam dekar,
Alf alphaso mai juthlati thi.
Ye beete vakt ki bate hai,
Hai purane zamano ka shok.
Kab tak apni kameez se bandhe rakhoge ,
Ruyaso ke rukh ka dosh,
Hokar khamosh.
Chalo kahdo,
Jo kahna hai,
Mai mana nhi karungi,
Jo man mai hai ,
bya karo,
Zikar to aadmi ka bhi gahna hai.
Are janab,
Farmao to
Raat na nikal jae,
Suraj aa jaaegaa,
Tum mai kho kar ,
Vo tumhe kal batla jaaega
Ki har hasi ke peeche kushi nhi hoti,
Kuch muskane sukoon ke sailab mai gam ka gambhir vakye ko bhi piroti hai.
Jaise har hawale ke peeche,
Tanhai nhi hoti.
Kuch humraz,
Yuhi safar mai mil jaate hai,
Haa mai
Bato ko aaj samay ki kashti mai
Kasti jaa rhi hui,
Par tum abhi bhi vayast ho.
Idhar dekho to zara,
Kaha kho gya hai tumhara zara - zara,
Ye bachaini tum mai kab bass gyi,
Akelapan tumhe ab khamosh bna rha hai.
Pahle tum kah to diya karte the,
Par ab has dete ho yuhi,
Ye muskan sukoon ki hai na tumhare,
na hai tumhare aap ki.
Tum apna aap usme kho chuke ho,
Barso beet gye hai,
Tum usi rah ko ghoor rhe ho,
Jo galatfahmio mai ghumra ho gyi,
Jo gustakio mai tabah ho gyi,
Jo mohabbat ke naam par shaitanio mai so gyi,
Aur jo tum par mar mitne ki jagah,
Tumhi ko mar kar,
Fanah ho gyi.
Isliye kahte hai,
Kuch andaz aap ka nhi,
Unka hota hai ,
Jinko aap apna aap saup aate hai,
Har hassi ke peeche kushi nhi,
Kuch muskane , gamo ko dhak kar bhi gahri neend so jaati hai.
Isliye har hasi ke peeche kushi nhi,
Kaiyo ke peeche khushfahmiya bhi basti hai.
Har muskan mai sukoon aur sailab nhi hote,
Kaio mai mayoosi bhi mahfoos rahti hai,
Aur diye gaye galib ke gam ko apni shan mai shiddat se sahti hai.
Leeza
Comments
Post a Comment