Kuch sher, kuch Shayari (part 2)

 : Kuch sher, kuch Shayari


1)vo uss din kah rhe the par mahsoos nhi kar paa rhe,

Ham kal sah rhe the unki berukhi, 

par aaj afsos nhi kar pa rhe


2)log poochte chalte hain ab ki tum Shayar bade haseen ho,

Par ham dil mai dabae rakhte hai ki hamara dildar kitna zaheen hai.


3)ab jab bhi main mahfil mai koi Shayari sunati hui,

To log vah vah karte hain ki aisa kaise likh leti ho,


Par koi unko bhi to ye btae, 

ki aapke jaisa gaddar kabhi mahboob ban jaaye,

To kalam sayahi nhi, zahar ugalta hai,

Are aap kya hai janab,

Yaha sacha aashiq vafadri ke liye,

Aur mera mahboob gadari ki shokiya Padhne ke liye mashhoor hai.


Par un galibo ko bhi Yeh Kala ka karishma tabhi mil paaega na,

Jab upar vala apne rahmo karam se aapke jaise

Mahboob se unhe kisi din milaega,


Fir vo sab bhi khoon ke asson ro denge,

Aur kagaz par kalam se zahar ke kitne hi sher bo denge


 4)shayari kuch nahi,

Kuch nhi hai gam,

Vo to bass jab aakhe nam ho jati hai,

To kalam hi sahil ke sadme si kitni martaba ashko bhar rulati hai.


5)aaj mai thahr Jane ko nhi kahungi,

Aaj tum chale jaao

Aaj mai pass aane ko nhi kahungi

Aaj tum door ho jaao

Aaj mai tumhe sametungi nhi

Aaj tum bikhar jaak

Aaj mai tumhari hasi ki vajah nhi banugi

Aaj tum bhi ashk bahao

Nhi, aaj mai kuch bolugi bhi nhi

Aaj tum bolte jaao

Nhi aaj mai tumhe Yaad nhi karungi

Ho sake to tum bhi mujhe bhool jaao.


Leeza

Comments

Popular Posts