Kuch sher, kuch Shayari (part - 1)

 

Kuch sher, kuch Shayari


1)Samandar hai beech main, 

par tum uss par ho,

Mai naav mai baithne hi vali thi,

Par tumne kisi aur ka haath tham liya.


2) afsos aseem tha par ibarat afeem thi,

Nashili aakho aur zulfo ke kahar mai mohabbat lag rhi, 

badi haseen thi.


Tab mai uss khwab se bahar aai,

Falak ke noor se jab tumne machai tabahi,

Jasbato ke junoon mai,

Maine saleeke ka sukoon gvaya tha


Mohabbat ke Naam par maine galatfahmio ka makbara banaya tha,

Nhi galib, maine uss shaks se Ishq kiya jo nafsiyati kudhparast tha,

Maine use apna dil diya,

Jise jaisi mai hui vaise kabhi nahi apnaya tha.


3)tum kahte the vakt do,

Dekho ab mai bina kahe de rhi hui,

Tum kahte ho mujhse milo,

Par janab mai majboorio ko sah rhi hui,

Tum kahte ho vo achi thi,

Mai sochti hui vo achi hoti to jaati nhi,

Tum kahte ho mohabbat aise nhi hoti,

Par ab mai tumhari Haa mai 

Haa milati nhi.


4)samandar kinare hai mera sanam,

Sanam mera uss par.

Meelo ke raaste hai par janmo ka kahar,

Khali aankhe bekadari ki bahar.


5)mushyaro ki dawato mai mere sher Aajkal khatam nhi hote,

Nastleekhe shunyata ke kasbo mai karhati hai,

Log poochte hai mohabbat to nhi ho gayi tumhe?


Par mai inkar karke jhepti si hasi has jaya karti hui,

Kyuki tum mere Iss janam mai to ho na sakoge,

Aur agle janam mai maine khuda se tumhari Ruh ko meri Ruh se na milane ka vayda le liye,


Ab bass roz allah se yahi dua karti hui,

Ki farishte bhi aisa na karde ki kisi janam mera mukkadar tumhare Saath kabhi gustakhi se mera naseeb padhde.


Leeza

Comments

Popular Posts