Ye zindagi hai janab
Zindagi kabhi bhi kisi ke liye bhi,
Kisi ki vajah se nhi rukti.
Insan vo kirdar hai upar vale ka,
Jo har kayamat se karishme tak har jagah apna ghar bna hi leta hai,
Aaj nhi to kal vo fir ye dohra hi deta hai,
Ki bechaini aaj ho rhi hai bhale,
To kal tham jaaegi,
Jo aasu aaj bah rhe hai,
Vo kal sookh bhi jaaege,
Jo panne aaj padhe jaa rhe hai,
Vo kal palte bhi jaaege,
Jo log aaj saath hai,
Vo kal chale bhi jaaega,
Par zindagi chalati chalegi,
Aazmaishon mai mohabbat ke khawab bunti chalegi,
Ha, insan vahi kirdar hai khuda ka,
Jo gam mai kushi aur kushi mai gam ki kashti ki oor badhta chale jaa rha hai,
Ye zindagi hai janab,
Yaha galib ham bhi hai, hatash,
Ye zindagi hai janab,
Yaha janaze bhi hai khudhparast aur murde ke bhi hai kafan mai dafan croro raz,
Ye zindagi hai janab,
Yaha jeena aasaan nhi , par jeena to padta hai,
Ye zindagi hai janab,
Kisi ke alvida lene se ye rukti nhi,
Yahi hai iska ek mahfoos raaz.
:)
Comments
Post a Comment