INTAKAM
Faqt par vaqt diya,
Gunaho ka azala bhi,
Gunehgaro ke samne kiya
Daga bhi ki,
To Dokhebazo se
Jaan ka azala bhi,
Jaansazo se kiya.
Ki nhi mohabbat ,
Kiya nhi ishq,
Bass khudhgarzi karke ,
Apna vaqt pura kiya.
Kiye bahut kaam ,
Ki bahut baatein
Nhi kiya aitbar
Nhi kiya apno vala pyaar.
Kiya khoob izhar
Diye khoob tohfe , har tyohar
Vardato ke shahar mai
Vakye kare hazar
Nhi kiya jo karna tha
Nhi jeeye jaha jeena tha
Nhi mara jaha marna tha
Apni apni , mai, mein ,
Sharte rakhi hazar,
Giraft ki kari aur darker ,
Maut ke saamne ,
Jeevan ke paar,
Apna kahne ko kaha bass
Nhi mana apna ,
Na socha ek baar,
Intakam tumse koi aur kya lega
Kaun hi hoga tumhara dushman
Tum khudh , kudh ke kiye kam nhi ,
Tum khudhse hi ho itne bezar ,
Mar mitoge ek din
Jeete to vaise bhi nhi ho
Pachtava tum ko bhi hoga
Kyuki ab tum bhi tumhare liye afsurda ho
Kadar , bekadari , saleeka aur sau aur baatein
Koi kitna kahe tumse
Baat insano se insaniyat se karo
Nasihato nhi padti tumhe par
Vakt vakt ki baat hai,
Aasani to tumhe bhi nhi hogi,
Mohabbat mai intakam acha to nhi
Par kabhi kabar lelena chahiye
Kaunsa tum so pa rhe ho,
Kaunse tum hamare bina khulkar ro paa rhe ho,
Aazmaaishe tum par bhi hai,
Sitam ham par bhi hue the,
Jeete jee maut hui thi,
insan ki ruh kitni hi baar andar andar faut hui thi ,
intakam lebhi le koi gunehgaro se
intakam khudhparsto se koi kya lega?
Vaakya bhul bhi jaae koi ek aadh baar,
Har baar ka mara, ab kaise jeega?
Tumhe bhi tumsa jab milega ,
To tumhe bhi pta chalega ,
Insan yuhi jeete jee nhi marta,
Lihaz ek baar koi jab nhi karta,
To kya baat banegi ,sau wafaao se ?
Vakt vakt ki baat hai,
Intakam le bhi le koi bewafao se ?
Intakam koi badlihazo se kaise lega?
Vaakya bhul bhi jaae koi ek aadh baar,
Har baar ka mara, to mitti mai hi milega.
LEEZA~
Comments
Post a Comment