ZAMANE MAI AUR BHI BAHUT GAM HAI

The writer has tried to continue some famous shayari of the some of the most renowned writers. Read them in continuation for better experience. 


जौन एलिया
1) चारासाज़ों की चारा-साज़ी से
दर्द बदनाम तो नहीं होगा

हाँ दवा दो मगर ये बतला दो
मुझ को आराम तो नहीं होगा....... 

लीज़ा शर्मा 

Ishq to bass zariya hai
Insan ke aks aks ka kya khudha ke paas hisab nhi hoga?
Banda banda marr mitne ko tyar hai
par kya faut hone se mehboob ka malal nhi hoga?

2) "गणेश बिहारी तर्ज़"
क्या ज़िद है कि बरसात भी हो और नहीं भी हो
तुम कौन हो जो साथ भी हो और नहीं भी हो

फिर भी उन्हीं लम्हात में जाने से फ़ाएदा?
पल भर को मुलाक़ात भी हो और नहीं भी हो..... 

लीज़ा शर्मा 
Kya wafat hai ki mai mar bhi gya aur zinda bhi hui
Kya halat hai ki mai barhale iss ishq ka aakhiri numainda bhi hui? 

Fir bhi unhi yado mai gam jama hai mera
Ek arsa hone ko aaya hai,
Par mai fir bhi kaid parinda hi huu.

3)फ़ैज़ अहमद फ़ैज़
 Zamane mein aur bhi bahut gham hain mohabbat ke siwa,

लीज़ा शर्मा 
Magar har gham ki jadd toh mohabbat nhi ...... 
Zamane mai aur bhi bahut talkhiya hai ishq ke siwa , 
Magar har talkhi ka nizat to ishq hi hai. 


4) नासिर काज़मी
mujhe ye Dar hai tirī aarzū na miT jaa.e
bahut dinoñ se tabī.at mirī udaas nahīñ.... 


लीज़ा शर्मा 
Ab to khauf aane laga hai mujhe kudhse bhi 
Kai bar puchta hu mai ki bina tabah kiye kudhko Maine mohabbat kar kaise li?

 Ye to andaz nhi hai mera
Ye to lafze bayan nhi hai mera
Jab tak shab guzar jane ke bad mahboob ka tazkara mujhe mar na dale , 
Aur fajar tak mujhpar ikhtiyaar na aazmale , 

Mai use mohabbat man kaise lu? 
Jab tak mera fann meri tabahi ka azala na karein
Tab tak mai har man kaise lu / tab tak mai aaram kaise lu? 
Tab tak mai mohabbat karne ka gunha sir anzam kaise lu?


5) साबिर दत्त
ज़िंदगी साज़ दे रही है मुझे
सेहर-ओ-एजाज़ दे रही है मुझे

और बहुत दूर आसमानों से
मौत आवाज़ दे रही है मुझे


लीज़ा शर्मा 
Muntazir kai the hamare bhi 
Jo jannat ka libas odhe aae the 
Unn aasmano se jakar kahdo 
Ham zameen par jeene ke sahare thodi aae the 

Zindagi farz na karo hampar
Maut karz na karo hampar 
Ye janaze to kamzarfo ka marz hai
Ham to jeete jee faut hue Dastawezo mai darz hai.



लीज़ा शर्मा 





Comments

Popular Posts