DOOBTE KO TINKE KA SAHARA
DOOBTE KO TINKE KA SAHARA
Kuch ishq mai doobe, kuch nashe mai,
Kuch kam mai doobe, kuch kalme mai
Kuch kudh mai doobe, kuch ishvar mai
Jo kisi mai na doobe, unme baki rah gye kai andhere
Unke ujala ka hua behad intzaar,
Par andhero ko roshni se na hua kabhi pyaar
Andhere, sannato mai doobe, band kiwaro mai doobe
Par kabhi prakash na ho pae
insan ki Jawani budhape mai doobi, jeevan maut mai doobi
Par insan kabhi aabhari na ho pae
Kalakar, kala mai dooba, mehboob, apni main mai dooba,
Par kabhi aazad na ho paya
Sanatani dharam mai dooba, maulavi mazhab mai dooba
Par kabhi kudha na ho paae
Purohit dharam ki kitabo mai dooba , vaishnav vyaapaar mai dooba
Par kabhi rajput na ho paya
Pandav dharam yudh mai dube, kaurav kapat mai doobe
Par kabhi gandhari na ho paae
Vaigyanik anusandhano mai doobe, karamkandi mahakumbho mai doobe
Par kabhi pavitra na ho paae
Varna jatibedh mai doobe, abhimanyu chakra bedh mai dooba
Par kabhi bahar na aae paya
Kuch itihas mai doobe, kuch arthshaastra mai
Kuch aalas mai doobe, kuch uljhane mai
Kuch sadme doobe , kuch apni socho mai
Jo kisi mai na doobe , unme baki rah gya khalipan
Uski purti ka hua intzaar
Par khalipan ko sampuranata se na hua kabhi pyaar
Khalipan, khohkhlepan mai doobe, shunya chintan mai doobe
Par kabhi sampurna na ho paae .
Kishoravastha ka bachan kitabo mai dooba, alahadpan dooba kamyabi mai
Bachpana barbadi mai dooba
Ajeevika doobi aayaashi mai
Par kabhi kamyab na ho paae
Matae chulhe ki bhatti mai doobi, pita doobe daftar ki chakki mai
Par kabhi nishchint na ho paae
Lakshman ram mai doobe, ravan ahankaar mai dooba
Par kabhi ram na ho aae
Sailab samudro mai doobe, srishti bharamand mai doobi
Par kabhi kaynat na ho paye
Iss agrim jeevan ko sugam banane
Divano ki jab mehboob se mulakat na ho paai
Yahi niyam ban gyaa fir kaynat ka
Aur kaynat, kaynat na ho pai
Jab ishq mai doobe, marr gye
To jeevan ki kabhi shuruwat na ho paai.

Leeza
Comments
Post a Comment