GHALIB KI BARSI (SHAYARI)

Mai fannah hua to tu bhi tabah ho gya
Mere makbare ka tu bhi gawah ho gya
Tu kudha nhi mera, mai kudha nhi tera 
Teri bekudhi se to var bhi saptah ho gya

Mai rou tujhe ya apni gurbat ko rou ghalib

Tujhe khoya maine, ya mai kudhko hi kho gya 
Fannah Tu hua aur barbad mai ho gya
Gumrah Tu hua aur rasta mai kho gya
Laparwah Tu hua aur bebak mai ho gya
Mara Tu aur jism mera mitti ho gya.

Mera rou tujhe ya rou apne vjood ko
Tere jane se mera vjood hi kho gya hota
Tu na hota to kya mai hota? 
Mai na hota to kamskam mujhe ye rog to na hota
Kaseede padh padhkar ghalib falsafa hota 
Ghalib na hota to kya kudha ka kalma hota 
Kudha na hota to kya ghalib insan hota
Iss behas ka ant nhi ghalib
Ghalib ko mare hue ek arsa ho gya 
Mai rou tujhe ya rou ghalib ki barsi ko
Ghalib na hota, to koi aur deewana hota
Mukammal tab bhi ye jahan hota, mukkamal tab bhi gam byan hota. 
Mai rou tujhe ha rou apne gam Ko ghalib
Hakim to kai aae sadiyo bad bhi
Par tujhsa jahan gird na koi dusra hota.

Comments

Popular Posts