“Aapne Puri Umar Bitayi Hai Marne Mein”

Hamne puri umar bitayi hai marne mai
Apne janaze ke mahnamo ko ikatha kar suli chadhne mai
Dawato ka zayka, maut ki tareek par tay hoga
Shaks bahut khushnuma tha, ye zikar lafz bharkar hoga

Nigaho mai ashk aur hatho mai Kal ma hoga
Nafrat karne valo ki bhi zubah par tareefo ka pulinda hoga
Insan ka khatma hoga aur vasiyato ka mukadama hoga
Khandano ke beech jaydado ka bada masla hoga

Jeete ji kisne aapka khayaal kiya tha ispar tafsara bada gehra hoga
Raqam aapki Hogi aur haq un sabka hoga
Marenge aap par sadma kai dusro ko hoga
Aap kya bat karte hai manzar dekhne layak hoga

Aapne puri umar bitai hai kamane mai
Aapki taziyat par suruur bahuto ko hoga
Aziyat bhi tab byan  hogi jab kharcho ka zikar taziyat par hoga
Marenege aap par jeene ka jasba kai dusro mai hoga

Kuch iss tareeke se manzil ke khatam hone par musafir ki sanduko ka tazkara hoga
Jinko milegi na ek kaudi, un sabhi ko ehsase kamtari ka hoga
Par ek to koi aisa hoga jisko ahsase e ahsos hoga
Byan shayad vo na kar pae par mahnamano ke beech ek azeez to aapka bhi hoga

Aapne puri umar jo bitayi hai marne mai
Aapke sath  jeete jee marne vala bhi to koi apna hoga. 

Leeza 

Comments

Popular Posts