Kuch khwab adhoore bhi

 Kuch khwab , adhoore bhi


Ye duniya itni bewafa dikhti thi pahle, 

Ki kahna tha hamara mohabbat mat karo, kaam karo.

Par jab aap ki aakho mai jhaka

To dil ne kaha, agar ye bewafa bhi nikala to kya? Mohabbat karo to isi se karo.


Aisa kya ho jata hai jab mai tumhare baare mai sochti hui,

Na khayal apna rahta hai na iss manzar ka.

Ye chand , sitare, jheele to sab bhane hai,

Aap maujood hai yaha, to aapke chahne vale to bass isi se diwane hai .


Tum un vadio ko bhi aaina dikha to jo kudh me itraya karti hai,

Baat tum mai vo hai, jo husan ke chahre ko bhi sataya karti hai.

Khoobsoorat to bahut mil jaaege janab, hamne to aapka kirdar dekha. 


Nhi, vo aasman itna haseen nhi tha pahle.

Na hi shyam itni gahri hua karti thi, 

Na makbara itna aalishan

 lagta tha ,

Na baadlo ka pahra itna ghana.

Na taare yu timtimate the ,

Na jameen par janat ke kuch ruyase the.

Ye to tum ho jo mujhe ab mai kaam karte karte muskurane lagti hui, yuhi

Varna zindagi kya thi meri , jeena to chodh hi diya tha,...bass marne mai kasar thi.


Bekhabar thi thodi, apne mai gum,

Par jabse hui hu tumhari, raato ko neendo aur din ke kaam mai bhi , zikar karti hui tumhara hokar gum sum.


Nhi pyaar , mohabbat , ishq,

Jaisi badi badi baaten aati nhi mujhe.

Choti si to hui mai, kaise jaan paaungi itna?

Par ek vaayda zaroor karti huu,

Ek baar haa bolkar to dekho,

Har janam sath nibhaugi.


Agar kismat ne iss tarah milaya h

Croro ko chodhkar tera numbr aaya h

To Dil e nadan ne mahfil mai fir se ek sher sunaya hai,

Ruko janab , thahr jao, yu na ho ki bekadari ke gooror mai tum koi heera pathar sochkar gavao


Jannat ho ya jhahunam tumhara hi saath chahti hui

Farishto se kahti hui, lafzo mai gungunati hui

 Ki didar mere sanam ka karvana,

Varna aaina ka kya hai, ye to jhuti muskan ka hai ek bahana.


Sajna savrana chodh diya hai maine,

Ab bat hi nhi hai, duniya ko kush karne ki.

Ab sabr aa gya hai, 

Tumse milkar adheer man, shanti mai sama gya hai


Ek thahrav hai tumhari boli hai

Jise mai mahsoos kar skati hui

5 saal pahle tumhare jaisa ek ladka khayalo mai aaya mere , 

Par ab maloom.hua , vo to tum hi the , tab ab tak kaha the mister? S.? Aap? 

Kyu bache ko ghuma rhe the, 

Pahle hi aajate , ghumte firte

Par chalo vakt ne vakt lekar, 

Ekdum jannat si dedi mujhe.

Ab yahi rahna, aas paas.

Chalo 28 km hi to hai, kam milenge, par tum bass  mere mere.

Har din, har sawere.

 

Ham to aapke hue 🌸, aaj bhi, kal bhi

Aap Hamare ban ke to dekhiye, 

Kisi bahane yuhi, 

Kya pta hasrat ko lafz mil jaaye, 

Syahi bhi kalam ke Saath gungunaye, 

Ye jahan aur aasman tak tera ho jaaye, 

Par Aap bass mere ho jae💓

Jaise kuch khwab adhoore poor ho jaae💓


Leeza

Comments

Popular Posts