Mera mazi tu tha par mustakbil kabhi nahi hoga
_Mera mazi tu tha,_
_Par mustakbil kabhi nhi hoga_
Jeene marne ke vaayde kare the,
Aur fir sath chodh diya?
Aadhi raat ko ruyase padhe the?
Fir dil tod diya?
Sanam, sanam kahkar,
Bewafai ka daag buna.
Mohabbat ke paak parde ke peeche,
Dhoke ka humraz chuna.
Jannat tak saath chalenge?
Aise vaayde the tumhare!
Par tum to jahanum ke layak bhi nhi ho,
Dagabaz ke kirdar se maine wafai ki aas ki jode sau sitare!
Masoom thi mai,
Mustakbil ke baare mai mahasoos kar rhi thi,
Mahfoos thi mai,
Tumse milne se pahle , sukoon se namaz padh rhi thi.
Mulakat ke layak nhi the tum,
Kirdar hi tumhara kashti mai swar musafir ki tarah tha gum.
Ab taaro se to mat jhuthlayo,
Ibadat ke naam par kya karte the tum.
Didar ke naam par sitam nahi kiye hai tumne kam,
Sanam bewafa honge,
Aap to bewafai ke naam par pura kunba zaleel karva gye.
Aap itne na pakeeza the
Ki aapka iqrar bhi alf nhi ashko bhar ro deta tha.
Aap itne kasbe tabah kar gye,
Ki aapki pasandeeda mahbooba ka taj bhi to ek dhoka tha.
Pahle alfas kam pad jaate the aapke noor ko byan karne par,
Ab alfas yaad hi nhi aate sach btau to.
Pahle aasman mai chand bhi shayad aapke ke liye hi to nikalta tha,
Ab to bharmand bhi aapko dekhkar gahri neend so jaata hai!
Tum itne badkirdar aur bewafa nikale,
Jo meri hasarat ko khel bna gye.
Tum pyaar ke naam par ,
Badnam nikale,
Jo zanjeere bandhkar mere haatho mai itra gye.
Mohabbat ke nam par gaddari tumhara fikra tha ,
Soch soch kar
Dil bahal jata hai ab.
Sooror ke naam par shikayat tumhara dilkash jasba tha,
Jitna mile tumahare liye utna hi tha kam.
O adhoore dil ,ke adhoore aashiq
Mahbooba se mohabbat karna tum kya jano.
Seena tumhara suleman tha bekadri ke bramande mai.
Tazurba badh gya mera tumhara hokar,
Par tum kabhi mere na ho sake.
Vaqt tham gya tha shayad usi pal,
Mujhe aaghah karne ki koshish kar tha, shyad kal.
Minnat thi uski bhi ki mai sambhal jaao,
Par mai deewangi ki hadd paar kar gyi.
Vaqt fikarmand hokar, tham gya tha,
Mai use mohabbat ka libaz pahna rhi thi.
Mai dheeme dheemne badhne ki chah mai,
Tumhari bekaderi sahti jaa rhi thi
Tum vaqt maang rhe the,
Mai deti jaa rhi thi.
Tum mujhe roz rula rhe the,
Aur mai bina ashk bahti bahti jaa rhi thi.
Ab tum laut aae ho,
Apne gunaho ka izala karne .
Par ab na mere paas vaqt hai,
Na chahat ka makbara, vo tum kudh aag laga gye the , apni hararat bharne...
bhavook hone se aakhe nam ho jaane tak,
Mera hone se , mera gam pee jaane tak.
Ashk bahakar, dilasa zyda aur dukh kam ho jaane tak,
Jhoothe vyade , ki silvate banane aur meri vafadari par karne le liye shak!
Shukriya!
Iss janam to mai tumhari nhi ho sakti,
Agle janam fir darvaja khatkhata lena.
Kudha se bass ek hi dua karungi,
Ki katal kar dena ,
ya koi sajish ko dedena anjam ,
par tumhari ruh ko mujhse dobara kabhi na takrane ka dedena paigam.
Shukriya! shabba Khair!
Leeza
Comments
Post a Comment