Kash aur kalam

 Kash aur kalam 


1) bas itni hi khwahishat hai kudha se apne,

Vo kitna bhi udaas kyu na ho.

Bass ek baar muskura de,

Mere ek jikar se, fir se.


2)tum jaan nhi ho meri,

Ye jhooth mai kyu bolu?

Par tum to kudha ka diya hua vo karam ho,

Chalo aaj sach bolu, 

To poora hi bolu.


3)baaten chupane tak to theek tha,

Par tum to dil ka haal chupane lage,

Meri nazro mai dekh kar,

Dil kisi aur ko thamane lage.


4)adhoora ishq,

Aadhi baat,

Do dilo ki ek mod par,

Sarfiri mulakat,

Nam aankhe, 

Kapkpate hoth,

Kaali ghani raat aur tumhara saath


Ishq aadha,

Par saath poora,

Baat aadhi,

par jasbaat poore,

Vakt kam,

Par ahsaas poora,

Na chale jaane ka gam ,

Par fir milne ka vaayda,

Vo bhi adhoora.


5)un shilalekho mai vo apna kalam kho deta hai,

Apne adhyayan kaksh mai , vo apne jasbaat panno par ro deta hai,

Ruk jaane ka man bahut karta tha ,

Par ab to vo ekant mai bhi saath hai,

Use apne seene se lagane ka man bahut karta tha,

Par ab to har ahsas mai vo mere hi paas hai.


6) itna pyaar nahi karti mai tumse,

Jitna Tum sochte ho,

Itna apna nhi maanti mai tumhe,

Jitna apnapan tum mujhme khojhte ho,

Itna intazar nhi karati mai tumhe, 

Jiska atraam tum kar na sako,

Itna akela nhi chodh paati mai tumhe,

Jitne akelepan mai tum mere ahasas ko sah na sako.


Leeza

Comments

Popular Posts