Mahbooba-e-mushkil

 Mahbooba- e- mushkil


ha vo shayar hi thi,

Aur vo uski aankho ki gahrai mai kho gya,


Aaj uski lekhaki mai gum ho kar,


 vo uska adhoora sa sab poora  ho gya.


aaj bhi vo likhti hai ,


Aur vo usi shauk se mahfil mai baithkar,


Pahle usse rachnae rachte hue niharta hai,


Fir unko usi mahfil mai usi chahat ke saath padhte hue,


Uske didar mai kudh ko sawarta hai,


Uske husan aur hararat bhari nigaho mai vo fir dillagi se jhakta hai,


Raat beetati chalti hai,

Dono ulajhte se dikhte hai,


To jab mahboob apni mahbooba ke nazdeek aata hai,


To mahbooba sharam se sir jhukati hai,


Andhera aatank machata hai par ab,


Mahbooba ki kala, apne mahboob ko samet leti hai,


Dono ek dusre ke hokar us mahfil mai bikhar jaate hai,


Subah nazdeek hoti hai,

Aur mahbooba apne mahboob ke bahut Kareeb hoti hai,.


Tab mahboob apni mahbooba se farmata hai,


Ki tumse to kitne hi aashik mohabaat karte hai,


Par fir bhi hamesha tum Mere baare mai hi kyu likhti ho,


Tumhe mai kaise bha gya?


To mahbooba apne mahboob ki aankhon mein jhakakar kahti hai,


Vo sab mere husan, likhavat aur aurat zaat ki parvah karte hai,


Par tumne to apna aap  mujhme gawa diya,

Isliye


Mai likhti hui,


Jo mera sa ho,


.mai likhti hui,


Jo mujhme kudh ko de kho,


Mai likhti hui uske baare main,


Jo apna aap mujhme dhundhe,


Mai usase ishq karti hui,


Jo kala, kirdar aur kaifiyat ki parvah kiye bina,


Zamane se lad jaae aur mera haath pakadkar,


Jar band darwaza,

Mere liye khole.


Leeza

Comments

Popular Posts