Iktafaq
Iktafaq(shayari)
1)Galtiya Bahut kari hai maine,
Par ye maloom hai mujhe ki mai tumhari liye kabhi galat nhi thi.
2) Roz karodo marte hai,
Kisi ki jaan jaati hai ,
To kitno ke dil jalte hai.
Par kya btae ab janab,
Mohabbat karne vaale to ,
Sada aapse hi mohabaat karte hai.
3)Vo Pahle kadar kiya karta tha,
Ab to puchta bhi nhi hai.
Vo Pahle pyaar kiya karta tha,
Ab to ruthata bhi nhi hai.
4) kal vo bhi chala jaaega,
Jo aaj tumhe hasata hai.
Kal vo bhi badal jaega,
Jo aaj tumhare ruthane par, pahle tumhe manata hai.
5) Pahle uske aane se,
Kisi ke chehre par muskan aa jaati thi.
Ab to koi aae ya jaae,
Kuch khas farak hi nhi padta.
6) Bichadne gam se fir mulakat na karana,
Bichadi mohabbat ko meri fir yaad mai na lana.
Tum aaj bekadari kar lo jitni karni hai,
Kal meri jaisi tumhe koi mil jaae to tum btana.
7) Aaj ki bekadari ,
Aur
Kal ki makkari.
Aaj nhi to kal,
Tumhare saamne aaegi.
Aaj ki mohabbat,
Aur
Kal ka bichad jana,
Aaj nhi to kal,
Afsos ki lakeere ban jaaegi.
8)Tu mujhe apni haathon se nhi,
Apni ruh se chuh.
Tu mujhe apni baato se mat Nahla,
Par apne poore kiye hue vaado se bhiga.
Tum mujhe umeed se nhi,
Vishvas se mera ho ja.
Tu bass mohabbat mat kar,
Par mujhme hi apne aap ko de mila.
Leeza
Comments
Post a Comment