Shayari aur shankae - 3
Shayari aur Shankae-3
1)ab jab bhi mai mahfil mai koi shayari sunati hui,
to log vaha vaha karke puchte hai ki aisa kaise likh leti ho,
Koi in masoom galibo ko bhi btae,
ki aapke jaisa gaaddar agar mahboob ban jaae,
Tab in galibo ko bhi ye kala ka karishma mil jaaega,
Jab kudha unke bhi Naseem mai aapke jaisa dagabaz mahboob laaega....
2)mai musafir nhi uss gali ki,
jisase tum aaya jaya karte ho aajkal ,
Mai to vo Banjara hui uss anjan shahar ka ,
Jisse tum apnane se darte ho,
Har pal
3)surat aur seerat mujhe dono na dikhe,
Dikha to bas mera mahboob,
Ashk aur syahi maine dono tere naam par khoobh bahae,
Par tum palat kar na aae,
Par tum palat kar na aae,
Ye hai tum aur tumhari,
Bekadri ki vafae,
Bekadri ki vafae.
4)pahle mai kush thi ,
par ab mai sukoon mai hui,
Pahle mai kaam ki thi,.
Par ab mai tumhari hui.
5)suno kal mat aana, agar duniya valo se chipkar aana pade to,
Mohabbat hai to sareaaam ikrar karna,
Varna dillagi ke liye sau parde mat bichana.
6)ye parde nhi,
Izzat hai meri,
Ye sajda nhi,.
Mahboob ka aks hai mere,
Ye muskuraahat nhi,
Mohabbat hai meri,
Ye Ashk nhi,
Gumnami hai meri,
Ye julfe nhi ,
Jasbat hai mere,
Ye sayahi nhi,
Alfaz hai mere,
Ye mai nhi,
Mizaz hai mere,
Vo tum nhi,
Halaat hai tumhare.
Leeza
Comments
Post a Comment