Har kavi ki ek hi aas

 Har kavi ki ek hi aas




Har kavi ki ek hi aas,


Kavita , unmad , uphas aur ullas,


Kavitae , kalam aur kagaz par bhale hi banti bigadi hai,


Par asal mai to vah , kavi ki savendna shakti ki hi , asal abhivyakati hai,


Pathako mai bharne ke prayatan mai rahti hai,


Har kavita vo jasbat,


Vo karar aasakti aur Abhilasha ka, 


Poora adhoora sa ahasas,


Har kavi ki ek hi aas,


Ki uski kavita , 


Kare vo prayas,


Jo badhae madhayam varg mai savendna ki pyaas.


Har kavi ki ek hi aas,


Ki uski kavita ho kuch

Alag,


Ho kuch khass.


Har kavi ki ek hi aas,


Har kavi ki ek hi aas.


Leeza

Comments

Popular Posts