Ye duniya

 Ye duniya


Kya khoob kaha uss shayar ne,

Ye duniya badi kudhgarz hai,

Sau nakab pahan kar ghumti,

Ye abhi bhi besabar hai,

Kya khoob kaha uss muntazeer ne,

Ye duniya badi beman hai,

Char hazar baar bevafai karke,

Khati ye jhuthi hi kasme har bar hai,

Kya khoob kaha us begum ne,

Ye duniya badi ginhoni hai,

Subah ki muskurahat,

Raat Ki anhoni hai,

Kya khoob kaha uss diwane ne,

Ye duniya badi chalak hai,

Uss sahmi hassi ke peeche,

Palke hi gustakh hai,

Kya khoob kaha uss haseena ne,

Ye duniya badi dhokhebaaz hai,

Sau vaado ke Baad bhi,

Use ek bhi na poora hone ki poori poori aas hai,

Kya khoob kaha uss sheikh ne,

Ye duniya ek badi khareedar hai,

Baat karte hai kirdar aur Kala ki,

Par yaha to khwaisho aur Jasbaato  ka bhi bada ucha bhaav hai.


Kya khoob kaha uss peer ne,

Ye duniya badi anokhi hai,

Din mai karti vafao ki Baat,

Raat ko bevafai ka haal piroti hai,

Kya khoob kaha uss murshid ne,

Ye duniya badi saajishana,

Amar Belo par khelte hue, chidiya ke chuje ko bhi,

To paalne ka asal maksad ant mai use daanto tale chabana hai,

Kya khoob kaha tha kabir ne,

Ki iss duniya mai bhagvan ek hai,

Par poojte hai sab apne kudha ko,

Par mere peer to anek hai,

Kya khoob kaha uss mohtarma ne,

Ki ye duniya vahi tabahi hai, 

Yaha upar se sab muskurate hai, 

Par fir gumnami ke kasbo mai sab ghabrate hai,

Kya khoob kaha uss katil ne, 

Ki ye duniya badi gustakh hai, 

Katal karna shauk nhi tha mera, 

Par bina Katal ke kaunsi ye bahut paak hai, 

Kya khoob kaha uss sharabi ne, 

Ye duniyaa badi barhaal hai, 

Kitna bhi nasha kyo na karlo, 

Khuddhari aur makkari to yaha har yug ki darkar hai... 


Kya khoob kaha uss sahil ne, 

Ki Duniya badi nashukri hai, 

Kitna bhi farz Ada karlo, 

Yaha to besabri hi besabri hai,

Kya khoob kaha uss gulab ne, 

Ye duniya badi khoobsoorat hai, 

Upar se odhati mohabbat ka nakab, 

Andar se isne sabki baajue todi hai, 

Kya khoob kaha uss pakeeja ne, 

Ye duniya badi na kush hai, 

Sau sau lateefe padhkar bhi, 

Andar se sab udas hai, 

Kya khoob kaha uss aashiq ne, 

Ye duniya badi khuddar hai, 

Mohabbat ko sir par Taz banati hai, 

Aur jebo ko noto ki garmi se sahlati hai, 

Kya khoob kaha uss bichhade dost ne, 

Ye duniya kitni makkar hai, 

Saath rahne ke vaade karti hai, 

Aur door Jaane ki dhun isme sawar hai, 

Kya khoob kaha uss sant ne, 

Ye duniya kitni badsurat hai, 

Kubhsurati ke nakab ke peeche, 

Khauf aur badnaami ka giroh maujood hai...


Kya khoob kaha uss mahatama ne, 

Ye duniya kitni bekauf hai, 

Dar dar ke jeene ko kahti hai, 

Aur khud besharam hokar dusro ko dukh deti hai, 

Kya khoob kaha uss sipahi ne ye duniya kitni darpok hai, 

 azaadi ki baaton mai, 

Bandisho ka shok hai, 

Kya khoob kaha uss zahani ne, 

Ye duniya kitni kameeni hai, 

Lafzo ki hararat ke peeche, 

Mayavi muskurahat ki tahni hai, 

Kya khoob kaha uss gaddar ne, 

Ye duniya kitni bemisal hai, 

Tavassuf ki baate karte hai, 

Aur tabiyat hi inhi ki kharab hai, 

Kya khoob kaha uss jharokhe ne, 

Ye duniya kitni Jasbaati hai, 

Dusro ke Aasuo ko pochti hai, 

Aur kudh ashq bahati hai, Kya khoob kaha uss hamdard ne, 

Ye duniya kitni haiwan hai, 

Dilo ke pardo ke peeche, 

Koi mohabbat mai Pagal Hai, 

To koi bewafai ki shaan hai...


 Ye khoob kaha uss paharedaar ne,

Ye duniya kitni choti hai,

Band dimag ke bheetar,

Saajishe bunti moti moti hai,

Kya khoob kaha uss jallad ne,

Ye duniya kitni beraham hai,

Tassaliyo ki shokhiyon mai,

Umarbhar ki kaid hai,

Kya khoob kaha uss jawan ne,

Ye duniya kitni budhi hai,

Der raat ki ayaashiyan ke Baad bhi,

Samjh isme  bahut thodi hai,

Kya khoob kaha uss panchi ne, 

Ye duniya kitni paband hai, 

Baaten ye udane ki karti hai, 

Par udaaane mai inhe maut hai, 

Kya khoob kaha uss chaman ne, 

Ye duniya kitni chamkeeli hai, 

Kafan par bhi chand sitare jade hai, 

Aur mohabbat ki malkiyat mayoosi ki mahroomi hai, 

Kya khoob kaha uss kavi ne, 

Ye duniya kitni kroor hai, 

Kruna ke jaal mai, 

Samvedansheelta ki pistaul hai... 


Kya khoob kaha uss khuddhar ne, 

Ye duniya kitni ajeeb hai, 

Banai maine hai ye aur 

 Mere Saath hi iska aisa khulus hai,

Par vakt ki barhali bhi,

Sabko seekha deti hai,

Ye duniya jaisi hai abhi, 

Vo vaisi hi mujhe kabool hai, 

Jab gumnami ke giroh mai tabur aaega, 

Iss duniya ka bhi kacha chittha khul jaaega, 

Achaio ke parde aur buraio ke nakab pighal jaaege, 

Aisi kaifiyat mai aap uparvale ko kabhi fir nhi aazmaaege...

Kabhi nhi aazmaaege...


Leeza

Comments

Popular Posts