Ek geet
Ek geet
Ek hawa ke jhoke ki tarah,
Kisi din yuhi, mere paas se guzar rahi thi
Vah masoom thi
Ya masoomiyat ke nakab ko odhe.
Ye to samay ki kashti mai sawar hokar Maloom hota,
Par bahti jharne si vah dheemi chal se chalti
Ki maano har admitted behal hota,
Ab to poora zamana uska aashiq ho baitha hai
Nahi pyaar nhi tha mujhe usase
Par pyaar hua baitha hai.
Kosta hui mai kudhko,
Ki yah galti ki hai maine ya koi bevkoofi?
Vah ek khubsurat gulab ki tarah apni adaae bikharti firti thi,
Ek madmast raag mai mujhe sametati chalti thi
Vah ahsas nhi, Pyaar nhi,
Yad ki tarah rah gyi bas,
Ek khanjar sa seene mai ghopkar,
Samjhadar ko behal karti firti hai...
Mai vo aashiq nhi,
Jo rokar use Yaad karu,
Kyuki vah yaade ab mujhe gudguda deti hai...
Mai vo aashiq bhi nhi ho use bhool Jaane ki koshish karu,
Kyuki ye sochna bhi ek bhool hi hogi meri,
Vah ek lamhe ki mahak thi jo,
Sneh ki sugandh, andheri raat ki chandani, aur gayak Ka rag bNi firti thi.
Vah voh mohabbat nhi jise Yaad karke mai apne
Ashk ponch luu par vo ahsas hai jo itihas mai,
Hamesha mere Saath Hai.
Nahi aashiq nahi hui uska
Diwana bhi na thahra,
Bas noor kuch aisa Tha janab usme,
Ki kalam uthakar ab prashansak ki tarah deta hui har raat usi ka pahra...
Yah jawani ki baate hai,
Ladakpan ki geet.
Vah khubsurat si, tarango ki reet.
Ab aankhe moond kar bhi,
Vo ahsaas ho jata hai,
Jo uske nazdeek hone par bhi na hota tha.
Chalava si hai vo,
Dikhava si hai vo.
Par fir ek bar jab vah bholepan se,
Kahti hai ki kya Saari mohabbat khatam ho gayi.
To dohera deta hui uski yaad mai,
Ki poora zamana to Tumhaara aashiq hua baitha hai,
Nhi pyaar nhi tha mujhe tumse,
Par pyaar hua baitha hai.
Ab julfo ko lahrati,
Masoomiyat se gunhunati.
Palko ko jhapkati,
Hridya mai madhur geet gaati.
Fir usi tanhai ne ek aur baar poocha,
Kya bhool gye ho use?
To maine jawab diya
Bhulne layak to kudha ne use banaya hi nhi tha
Aur Yaad karne layak usne kuch chodha hi nhi hai
Mom ki gudiya si thi vo,
Pagal thi, ek paheli si thi vo,
Yaado ki ek saheli si thi vo...
Ab vakt ka pahiya ghuma hai to fir Yaad Aa Gayi,
Kal vakt ka pahiya tutega to bhool jaauga.
Vaise Bhulne lAyaak uski Ada nhi,
Yaad karne layak uska gam nhi,
Nhi diwana nhi hui uska,
Na banane ki koshish kar raha hoon,
Bas ye pawan geet,
Uski yaad mai padh rha hui.
Leeza
Comments
Post a Comment