Ishq, mohabbat aur pyaar

 Ishq , mohabbat aur pyaar


Ucha kad, masoom chehra aur vo muskan,

Mujhse door dil ke paas, vo suroor,

Chandani raat, barfeeli hawa aur huzur,

Aur pyaar nhi hua ka guroor,

Lafso mai byan nhi kar paati ab,

Yaado ki paheli sa lagta,

Chahto ko zuban nhi de paati ab,

Viran zindagi mai aarzo sa lagta hai,

Pagal sa, shararti bhi,

Par dagabaaz nhi,

Mera hai, mera saathi hai,

Par fir bhi mere paas nhi hai,

Aashiq hai, mera yah kahna jhooth hoga,

Par dost bhi to nahi hai,

Dost se zyda, aashiq se kam, 

Par iss baat ka afsos bhi to nhi hai,

Jab mai mayoos hoti hui,

To mujhe hasata hai,

Par jab mai kush Hoti hoon,

To fir mujhe chidhata hai,

Mera hai bhi vo,

Ye maloom nhi,

Vade kare to the- do,

Par ab sukoon nhi ...


Ab raato ko neend nhi aati,

Jab tak usase baat na ho,

Dil mein mayusi si hai chhati,

Jab tak vo na gungunae,

Itrata hai, sharmata hai,

Par jhuthlata nhi,

Bahlata hai, fuslata hai,

Par sahlata abhi bhi nhi,

Ab khayalo ki kashti mai zikar hai uska,

Hawa hawa main hi pyaar hai hamara,

Na vo kabool karta hai,na mai,

Ki Ishq hua hai, hame dubara,

Ab dilo ne dastak dena chodhkar,

Kunde khadkana shuru kar diya hai,

Chandani raat ne mahkana chodhkar,

Apni roshni se jalana shuru kar diya hai,

Pani bhi ab ruk ruk bahta hai,

Aur aashiqo ke ashko se kahta hai,

Ki mohabbat ka izhar karne se koi chota nhi hota,

Par use nibhane se bada zaroor ho jata hai,

Par abhi bhi na mohatarma ne farmaya hai,

Na ashiq ne Sir jhukaya hai,

Na jaane inhe apne husan ka gurur hai,ya apni ashiqi ka,

Inhe bichadne ka khauf hai ya inkaar ka ,kaun btaega?...


Dono paheliyo bhujha rhe hai,

Par izhare mohabbat koi nhi kar rha,

Kal ko jab halat badal jaaege,

To fir se dono ashq bahaege,

Ab tanhai kaatne ko daudati hai,

Aur yade maarne ko,

Ab ishq hua hai to maan bhi jaao,

Kyo sau bahane do,

Par yah ishq , mohabbat, pyaar bhi kuch aisa hi hai,

Ho jaae to Izhar na ho paae,

Izhar ho jaae to inkar ho jaae,

Aur kabool ho jaae, to mukkamal na ho paae,

Par fir bhi khisak rhi hai gaadi,

Baat cheet ho jaati hai,

Par mohabbat ki kami jo hai na,

Vo fir bhi satati hai,

Alfazo mai byan nhi ho sakti,

To ashko ko apna sahil bna lo,

Agar mohabbat ka izhar nahi kar sakte,

Vo gumnami ko apna mukkhadar bana lo,

Mohatarma ka nikah hai ab,

Aur huzur ashq baha rhe hai,

Kya nakam mohabbate hi itihas mai darj ki jaati hai?

Kyuki kamyab ko to ham shayad bhulate hi jaa rha hai...


Leeza

Comments

Popular Posts