Ek ajnabi
Ek ajnabi
ajnabi shehar ke ajnabi bahane,
ajnabi dilo ke ajnabi kahani.
Dam ghotkar hamane fir se dohraya,
Dekho ek ajnabi fir mere shahar hai aaya.
Jaan na pahchan,
Alag pahnava,
Alag paridhan,
Fir bhi apnepan ka aks tha usme,
Ajnabi hote hue bhi,
Shayad dil se the ham apne.
Sir par tankar - pagdi,
Haathon mein lekar - mashal,
Aankhon mai uski,
Dar ki thi na ek misal.
Kripand tha bagal mei,
Teeka tha maathe par.
Ajnabi ye kaisa tha ,
Sir tha mera usi ke kandhe par.
Hoton par chuppi,
Ek ajeeb si guthi.
Fir iss ajnabi ne aakhir kaar,
Uss ajnabi se apnepan mai mujhse kaha.
Tum jaise hazar dekhe hai,
Par tumsa koi nhi.
Tumhari apnayiyat bhi ajeeb thahri,
Mera ajnabi hona bhi hai- ajeeb.
Tum alag ho iss duniya se,
Juda hai tumhara tareeka.
Jiss ajnabi ko tumne apna hai samjha,
Vo maut ki kabar khodhkar,
Usi mai tumhe dafana dega.
Lene to mai tumhari jaan aaya tha,
Par ab dil de baitha hui.
Kash mai tumhe apna pata,
Par maine apne peshe ko hai apna mana.
Maut ki chadar odhe,
Vidroh Vivek mai kar na pauga,
Mai ajnabi tha , ajnabi hi fakr se kahlauga,
Jaan lene aaya tha tumhari,to tumhe maarkar hi mai jaaunga.
Fir apne kripand se usne mujhpar prahar kiya,
Ajbani si apnayiyat se mujhpe usne vaar kiya.
Nam aankhe uski bhi thi,
Par apne vaayde ka pakka tha vo,
Virodhi dal ka sadasya , veer bada sacha tha vo.
Leeza
Comments
Post a Comment