Tajweez-e-aalam

 Tajweez-e-aalam ...


Sau martaba chaahugi tab bhi na kah paaugi,

Ye dil ki aarzo nhi hai,

Ab zaroorat si lagti hai,

Nhi mai diwani nhi, na hone ki koshish kar rhi hui,

Bas mohabbat ka izhar,

Lafso mai byaan karne ki himakat kar rhi hui,

Ye chand vo sitare,

Tastari mai samete hai maine saare,

Mukkdar se churakar ,

Ajiyat di kudhko,

Par fir bhi jaane anjaane ,

Kifayat di rab ko,

Surur se aankhe,

Galib sa chehra,

Lambe ghane baal,

Ki dekhkar usko vakt bhi thahra,

Kashmakash bhari ada,

Dil jalane ki khoobhi,

Befikra sa andaz ,

Aur saaf niyat ka nakab,

Baaten ghumana sikha nhi maine,

Na mujhe kisi ne sikhaya,

Yaad hai mujhe vo pahli mulakat ki do lamhe,

Jo baichaini se abhi bhi mere dil mai hai kudhaya...


He rab, he maulla, he allah!

Kya kar du aaj byan,

Ya vakt ko thahrne ko kah hui,

Ab jo naseeb mai hoga ho hi jaaega,

Chalo aaj mai kah dui,

Uske lafso ki hararat mere kaano mai jab aai,

Tab  Jannat se jahanam tak shiddat se,

Maine apni sudbudh gawai,

Vah iss pal pal badalte aalam mai,

Ek musallal ki tarah hai,

Vo noor uske chehre par,

Uski tanhai se bhi gahra hai,

Man to janab yah hai ki usi lamhe mai use bsa lu,

Par kambakht vakt ke mureba  main,

 mai fir mai aaj dastak na ade paai,

Inn gairo ki basti mai apni aarzo kaise dohraau?

Uff mai aaj bhi usase apne dil ki baat alfazo mai na kah paai,

Ab ashq aur aarzoo,

Dono itminaan ki Chadar oodhe baithe hai,

Aur hararat bhari nigahe se aise ghoor rhe hai,

jaise mohabbat ki basti mai nhi,

Tanhai ki kashti mai dono lete hai...


Ab kalam hi sahil hai mera,

Kyuki alfazo ne to saath chodh diya hai,

Kyuki tahir hai mehram mera,

Jisne dua kabul hone ke baad bhi dilase kar afsos hi to diya hai,

Ashq to aise bah rhe hai, jaise samandar bhi,

Uffan aaega,

Na halaat saath de rhe hai,

Na jasbaat dilasa,

Chalo ashiqo ki aarzo ka,

Aaj mai aur tum fir se kare khulasa,

Ab muntazeer hokar ,

Maine fir se dohraya,

Agar ishq hoga to thahr jaaega,

Varna fir aaj tabir mai yaad aaega,

Chalo apne ahmak ko izazat do,

Usee fir sarhad par jakar lahu bahana hai,

Apne aashiq ki yaad mai fir dohrana hai,

Ki ikhtiyar kudh par nhi ,

ab vakt par karne ka mauka aa gya,

Shamsheer kudha ne di thi jo,

Vo fir khanjar bankar saahibe-aalam saltan par dafana gya,

Ayaari aur aashiqi ka farak bhi na samajh paya,

Gumnami aur makkari to kaun hi jaane,

Use tavassum ki chadar mai maine apna dil rakhkar diya tha,

Par fir usane bana diye sau bahane...


Writers

Harshita arya

Leeza sharma

Comments

Popular Posts