Vakt ki tahni

 Vakt ki tahni


Vakt ki tahni hilti hai,

Mausam bhi guzar jate hai,

Kabhi patjhar patto par patte girati hai,

To kabhi bahar apne kadam dohrati hai.


Jnaje uthate hai,

Nikah bhi padhe jaate hai,

Kashmakash ruh mai hoti hai,

Aur bebasi man mai chhati hai.


Vakt ki tahni hilti hai,

Kaayde se vakt ko chalati hai,

Ashko ki lahar mai,

Aakash ke badlo ko bhi sulati hai.


Saal dar saal beetate jaate hai,

saal girah bhi aati hai,

Umardrajta ki kashti mai,

Kasba bhi dikhta hai, har basti mai.


Char paigam laati hai,

Vakt ki ye tahni,

Mohabbat, malkaiyat , murwaat aur masumiyat,

Fir ye mashuka ke aashiq ki tarah sar jhukati hai.


Jindagi ko Gulzar banane se lekar,

Jindagi ko seechti chalti hai,

Ye vakt hai janab,

Tahniyo mai basa hua patta, kalmo mai muda hua kagaz, jaise mai aur aap.


Vakt ki tahni,

Har gam ko bhar deti hai,

Vakt ki tahni,

Vakt ko hi badal deti hai.


Vakt ki tahni,

Saltanat mai samandar se aage bahake,

Saal dar kal,

Namunkin ko bhi, 

Mumkin banane ka lar deti hai shayar ka haal.


Vakt ki tahniya,

Ek baar patjhar ke patto ki tarah gir jaaegi,

Tab vakt ki tahni mujhe aur tumhe bahut yaad aaegi,

Aaj tum bhale hi alvida kahe bina chale Jaao,

Par vakt ki tahni tumhe aage fir rulaegi.


Ye hai vakt ki tahni,

Jo badalti jaroor hai,

Par mujrim ko ashko ke savere se,

Raat ke andhere tak, kasmasahat tak jeene nhi deti.


Ye hai vakt ki tahni,

Jo ek si lagti hai,

Par jab ye palati hai,

To ye gahre kue ki gahrai likhne vale ko bhi  nafsiyati kalam-e-mukkadar  mai riwayati rusvayi ka gam peene nhi deti.


Leeza

Comments

Popular Posts