Kya ladka hona asan hai?
Kya ladka hona aasan hai?
Samaj ki bediya se lekar samay ke chakkar tak, raat Kaali ho ya andheri,
Din raat subah shaam jimmedariyo ke bojh mai bhi fakar tak,
Ek ladka hi jaanta hai, kaise ghar se lekar,
daftar vah har cheez muskan ke se sambhalta hai.
Vaise har jagah, striyo ki baat to ho jaati hai,
Udaas hone par vah ro jaati hai,
Par kya ladko ko dard nhi hota,
Dard to Mard ko bhi hota hai janab,
Bas use byan karne ke liye nhi hota koi shrota.
Aksar striyo aur mahilao ke atyacharo ko samaj aur cinema ginvata hai,
Par kyo aadmi ko aksar bhool jaata hai?
Kyu ham desh aur kaal ko chalane vaale mard ko kameena va kaleshi kahkar sunate hai,
Jabki bade pyaar se ham naari jaati ki abhilashae aur safaltao ko sahrate hai?
Aurat ke sapne hote hai,to aadmi kya sota nhi hai?
Aurat par parivar ka dabav hota hai, to aadmi kya man hi man rota nhi hai?
Agar aurat ghar aur daftar sambhalti hai to vah kyu mahan kahlati hai?
Par aadmi jab apne chote bhai ko padhane ke liye, apne sapno ke saath samjhauta kar deta hai,
Tab kya kisi ko uspar dayan nhi aati ?
Aadmi hai vo janab,
Koi sadak par chalata pathar nhi hai,
Ki jab dil aaya sahla diya,
Baaki dino suna diya.
Feminism ke naam par kitna dabaouge,
Kab tak tum aadmi ke against aurat ko khada karke,
Apne girti market ki aag ko,
Mitti tel se nahlaaoge?
Samaj, desh, aur vishav ko chalane mai inka bhi yogdan hai,
Do lingo mai, nar bhi utna hi mahtavpoord hai,
Agar naari parivar ko basati hai,
To nar bhi Parivar ko khilata hai.
Agar aurat kasht, peeda aur kalesh jhelti hai,
To aadmi santulan bithata hai,
Agar aurat ghar ki lakshami kahlati hai,
To aadmi ko fir ghar ke danav ka hi " Title" kyu diya jaata hai?
Vo devta kahlane ke layak nhi hai,
Ya aap uske "aap" ke saath khelne mai itne vayast ho gye,
Ki aapne "aadmi ke uday" ko "aurat ka ant" maan liya,
Aur "aurat ke hako" ke naam par aadmi ka sar kaat diya?
Mai ye nhi kah rhi ki aurat kamtar hai,
Aur purush Pradhan hai,
Par iss ling dawesh ki bedio mai,
purush ka bhi samman hai.
Jab maa ki mamta ko yaad kiya jata hai,
To pita ke aarthik sahyog ko kyo bhula diya jaata hai?
Jab maa ko karuna ka saagar samjha jaata hai,
To fir pita ko sthirta ka satambh kyu nhi?
Aap bhale hi kahe ki auraton par bahut atyachar hote hai,
Par kya purusho par atyadhik parivarik bhar nhi hota?
Sulabh- sheetal aur shant purush bhi iss samajik dawesh mai jakda jata hai,
Uss bechare prem ke samandar ko bhi ishrya ke chabuk mai lapet liya jata hai.
Aasan nahi hai purusho ka jeewan,
Badhae, kathinaiyo aur bedioto aam si baat hai,
Aasan nhi hai purusho ka jeewan,
Chamkeeli muskan ke peeche kitni kaali andheri raat hai.
Vo soosham nhi hai misal hai,
Vo gairo nhi hai, dhaal hai,
Vo zyda bole to panchayat kahlate hai,
Kam bole to ahnkari ban jaate hai,
Ghar ke kaam kare to aadhi aurat kahlate hai,
Aur bahar ka kaam kare to apna purushatva dikhlate hai,
Aadmi aadmi hota hai, aur aurat aurat,
Bhedbhav to ant mai svarthi hota hai,faayda kisi ka nhi hota, jaise gairo ki Daulat.
Ye samaj Na, bada na samajh hai,
Samajikta ke naam par,
Asaksham aur bedil hai,
Jo chal raha hai, use chala dete hai,
Jo uchal rha hai,use aur uchal deta hai.
Aurato ke saath sahi karne ki jagah,
Ham aadmio ke saath bura na kar baithe,
Jaise gunehgar ko saza dene ke chakkar mai,
Ham begunah ko faasi par na feke.
"Pseudo Feminism" ke naam par,
Har aadmi ko dhabha maan lena.
Vaisi hi baat hai, jaise rang ke adhar par,
Berozgari ko poori zingdi sahna.
Ladka hona aasan nhi,
Na ladki hona aasan hai.
Jab zindagi hi ek sangharsh hai,
To fir ling kiska mahan hai?
Ladka hona aasan nhi,
Na ladki hona galat baat hai,
Par jab galat hota hai,
To ladka bhi uske virudh khada hota hai.
Vaicharikata badalana, bhi koi ,
Ek din ki baat nhi hai,
Par ladka hona aasan nhi hai,
Kyuki ek ladka hi kahi kisi ke kul ka Deepak hai,
to kisi ke kul ka hai darinda bhi ,
To fir aatmiyta , ko beech mai na lakar,
Na kare uss bechare ko sharminda bhi.
Ladka hona vastav mai aasan nhi hai,
Kaaryaly ki chakki se lekar ,
ghar ke gharelu masail tak,
Nam aankho se lekar, khali jebo tak,
Apne kasht ko chupane se lekar,
jhoothi muskano tak,
Galat bardash karne se lekar,
sach na kahne tak,
Bacho ko padhane se lekar,
biwi ke swalo tak.
Ladka hona aasan nhi hai,
Ek baar kah do,
un kaano mai jaakar,
Jinhe aas hai ki ek din,
Tum unki stithi se bhi parichit hokar,
unke sir par haath rakhkar kah doge,
Ki har apne ladka khaas hai,
Jaati bed bas ye samajik bakwas hai,
Dukh kisko nhi hota?
Dabi Muskan ke peeche , har koi hai gahri neend sota,
Jab agle pahar vah apna dukh bhula deta hai,
Ladka purush bankar ek din sansarik ki vikrtyo ko mita deta hai ...
Leeza
True story 😌
ReplyDelete