Barhaale Badkismat

 Barhaale Badkismat


Raat Andheri thi,

Uss din ki.

Shaam gahri thi aur mausam bhi,

Aaine bhi uss din rang badal raha tha,

Shayad aane vaale kayamat ka tavassur padh rha tha, 

Chidiya bhi baag mai nhi thi uss din,

Paani bhi tham sa gya tha,

Hawa bhi gungunana nahi sarsara rhi thi,

Shayad Allah Se mere naseeb acha karne ki minnate padh rhi thi,

Fir kidhki ki gadgadahat ne mujhe gumrah kar diya,

Dahleez se bahar nikalne par manjil ne beparvah kar diya,

Apni khawaisho ko samete mai bass yuhi kadam badha rhi thi,

Dil-e- nadan ko Aarzo mai lekar khawab bune Jaa rhi thi,

Ab jab safar bhi khatam hone ko tha,

Tab dil mera itraya,

Usane mujhse fir galat vakt par vahi sawal poocha,

Kya tera vo khawab poora bhi ho paaega jo tune saalo se hai sajaya,

Vo masjid ke bahar,

Aakh moond kar ibaadat kar raha tha,

Ki maano sara noor galibo ne usse hi de diya,

Par duya kar usane thoda aur maangne ka hukam farmaya,

Abhi nazro se nazre bhi mili na thi, 

Ki use mera ahsaas ho gya,

Band aankho mai vo muskuraya,

Aur bola aane mai itni der kyu kardi mohtarma, mera dil to udaas ho gya.


Upar se khamosh,

Andar se kohram mach gya tha dil mai, 

janane ki khawaish nhi thi Kal kya hoga,

Agar vo mera hai, mai uski,

 To Allah ke rahmokaram se sab acha hi hoga,

Vafa ke vaade,

Ikraar ki kasme ki ab kya hi jaroorat hai,

Jab vo mera sahil hai,

Vo mera hai mashgul,

Jalim nhi tha vo,

Jamana hi Jalim tha,

Ham fir kadhe hai uss mod par jaha kafan hi hamara mahram tha,

Mar diya, unhone uss haseen noor ko,

Jaan Le li, Haa bekasoor tha vo,

Kyo? Kyo? Ishq ki itni badi saja di jaati hai,

Mashuka ke aashiq ki hamesha bali chadh jaati hai,

Mohabbat, mokammal hone ka Naam nhi leti,

Vafae bhi ruth jaati hai,

Apne Hi apane ko kaatate hai,

Ek dusre ko badkisamati ke nakab baatate hai,

Allah ka ho gya vo,

Vahi se vo aaya tha, paakeeja itna tha vo,

Ki mere mustakbil ne usse gavaya tha.


Ab Usaki tasveer lekar,

Mai ashq baha leti hui,

Uski yaad mai do baate dohra leti hui,

Vo mera na ho saka,

Kya khata ki thi rab maine,

Kya mai itni naapaakeeja thi?

Ki tune Saare kare hue vaade hai mujhse cheene,

Ab bhi shiddat se dil use aise chah raha hai,

Ki band aankhe khole to vo Saamne hi nazar Aa rha hai,

Barhali hai aankho main tasveer aur dil mai yaade Usaki,

Ruh se doori mumkin nhi aur hoto se baate Usaki,

Ab Usake jahan se bhi aur Usake shahar dono se door hui,

Nayi manzil ki hai talash,

Par haalaato se mazboor huu,

 ab bhi uski yaad mai aankhe nam ho jati hai,

Uski Ruh aur baate fir Yaad Aati Hai, 

Vo aksar kaha karta tha - vakt aane par sab theek ho jaaege, 

Par kya jannat mai jaakar vo sab theek karne do baara neeche aaega, 

Kyaa vo apna Vaada nibhaega, 

Kya vo laaut kar aaega? Kya vo mere liye 

Ye kadam uthaaega? 

Yaa vo iss badnaseeb ko iss gaairo ke mulak mai rusvaa hone ke liye akela chodh jaayega


Leeza

Comments

Popular Posts