Pariksha ka tanav
Pariksha ka tanav
Vidhyarthi hai janjaal mai jakda,
Pariksha hai ya hai koi hauaaaa.
Samay ka chakr vo fir aaya hai,
Har vidyarthi ko isane rulaya hai.
Mahina hai vo har saal ka,
Jisne sabko draya.
Farvari se March ka,
Vah khaufnak sitam fir gungunaya hai.
"kitabo ki bhakti,
Samay ki shakti,
Prishram ka mausam,
Pariksha ko shoshan."
Yah hai balko par kiye Jaane vale atyachar jo ab hai har vidyarthi par sawaar.
Mata pita ki kadvi vaadi,
Padhlo varna fel jaaoge ki har roz ki kahani.
Baadhaao ki naav par baitha balak,
Dukhi hai sukhi hai kaun Jaane par fir bhi hai chalak.
Haasaya ka Vishay nhi hai yah,
Yugo ki darkar hai ye,
Bass ek hi sawaal hai ye,
Pariksha hai yaa pratispardha ka tyohar hai ye?
Mana ki Padhna aavshayak hai,
Par kin purvojo ne yaha likh dala
Jara koi mujhe to samjhaae?
Pathan ka abhipray badal dala hai,
Ab gyan tak seemit kaha hai ye.
Kyuki anko ka to Sara khel hai,
Sharma ji ka ladka 100 Mai se 105 le aaya to aapke to 100 bhi fail Hai...
Leeza
Comments
Post a Comment