Ye dil hai ki maanta nhi

 Ye dil hai ki maanta nhi


Jaheen sa chehra,

Mohabbat ke alfaas,

Manmohak si aavaz,

Kudhaari kaa ahsaas,

Nasheeli si aankhe,

Lahraate hue baal, diwana kar gya Yaar,

Uska har ek andaaz, shaam ko kidhaki par jab vo aai,

Tab usane jis andaaz se apni palke jhapkai,

 aur fir vo har martaba ki tarah gungunai,

Aur btao sahab kidhar se hai swaari aai,

Yu to mai use Jawaab dete hue sakpana jata tha,

Par himmat to mai poori jutata tha,

Kahne ki koshish kuch kuch aur karta tha,

Aur muh se kuch aur nikal aata tha, 

Meri iss nadani ko dekhkar,

Vaha fir muskurai,

Apne aashiq ko tanhai ki gali mai akela chodhakar,

Usane fir tabahi machai, 

Kavitae likhane ka shauk tha usse,

Par sunana jyada acha Lagta tha,

Aashiqi ki talab thi hame,

Par use Aashiqo ki basti ko karkhana banana jyada acha lagta tha.


Kya maassom thi na vo,

Khelti, udati, gungunati aur muskurati, 

par ek baar jab maine usase sawaal kiya,

Ki kya tumhe kabhi mohabbat hui hai?

To usne shikan ke Saath aahe bharte hue Jawaab diya,

Ki mohabbat karne ki himakat bekufana log karte hai,

Ye shareef  gharaano mai nhi hota,

Yaha Chaar diwaari ke bheetar aurat chulha chauka karti hai, 

Uske valid hi Usake nikah ke liye dete hain nyote, 

To maine fir ek sawaal poocha, 

To tum kisi se bhi nikah kar logi? 

Ishq, mohabbat, Aarzo ki chaha nhi hai? 

Ya himakat se dar lagta hai? 

To usne mera haath pakadakar kaha, 

Usase aayyari karne vale haazaaro  haazaaro milenge, 

Mohabbat koi nahi karta Janaab, 

Ham jaisi khubsurat haasinaae husan ke bhav bikati hai, 

Hamse hamdardi koi nahi karta sahab, 

Mai sakpaka sa gya ki iss chanchal chehre ke peeche, 

Ek bikhara hua tanha shakhas maujood hai. 


Kya zamana Aa gya hai ki aayaari husan ke bhaav bikati hai, 

Aur mohabbat ka koi mel nhi hota, 

Par inn baazaru logo ne har cheez ki kimat laga di hai, 

Isliye aashiq baazaru cheezo se nhi, 

Bistar par takiyo ke sahare sar rakhkar hi hai tanha sota hai, 

Par fir vah apna dupatta, 

Unglio se sahlaate hue boli, 

Meri chodho, apni batao, janab 

Padhte hi rahte ho ya, kabhi pyaar mai bhi pade ho? 

Uski aankho mai dekhne ki himmat nahi thi varna mai uske noor ki chamak se hi jal jata, 

To sir hilate hue maine Jawaab diya, 

Ki mohabbat mai kya rakha hai? 

Diwana to vaise bhi galib, ho hi hai jata,

Usane kaha der ho rhi hai, 

Abhi ghar hai jana, 

Kal fir mulakat hogi, 

to guftagu chaae ke Saath hogi, 

Maine bhi kaha Haa der ho rahi hai, 

Bahut kuch hai karne ho,. Vaise tha to kuch nahi, 

Par jab dahleez se noor chala jaayega to Baaki hi kya hai thahrane ko? 


Leeza

Comments

Popular Posts