Kirdar ki kashish
Kirdar ki kashish
Tum mere sahil nhi,
Manjil ho,
Tum mere rahgir nhi,
Mashgul ho,
Tum meri aas nhi,
meri aakhiri umeed ho,
Tum ek ahsas nhi,
tum to meri hi tasveer ho,
Tum mere sapne mai aai vo shamsheer ho,
Jo chabuk ke sitam mai bhi mohabbat bunti hai,
Jo lahu ke jakhm mai bhi,
Mohhabbat ka khanjar banti hai,
Tum mere alfaazo ki vo hararat ho,
Jo bichde chaman se bhi aag uglati hai,
tum mere jisam ka vo tukda ho,
Jo kabhi banati hai,
kabhi pighalti hai,
tum meri nighaho ki vo nami ho,
Jo barish mai bhi aag panpati hai,
Tum mere haathon ki vo lakeer ho,
Jo mit jaane ke baad bhi banti bigadati hai,
Tum surme ki siyahi ho,
Aankho ka kajal,
Tum har divane ki chahat ho,
Har Aashiq ka aanchal.
Tum bahut kuch ho,
Tum kisi se kam nhi,
Tum khubsurati ke alava,
Kalam ko deti apne kamal se tasveer sahi sahi,
Tum Chand ki chandani ho,
Taaro ka raaz,
Tum suraj ki garmi ho,
Sharad ritu ki aakhri aas,
Tum shatranj ki raani ho,
Mai usi ka pyada,
Tum har dilbaar ki adhoori kahani ho,
Jaise poora na hone vala koi vaayda,
Tum tum mai bhi Tavassum ho,
Tum dusro mai chingari,
Tum sabmai alag ho,
Ye duniya hai tum par haari,
Tum masoom nhi,
Ek kalakar ki kala ho,
Tum paband nhi,
Tum buniyadi bala ho.
Tum kam ho, na jyda,
Tum jitni ho, kaafi ho,
Tum gam ho, na khushi ,
Tum dilkasho ke dil ki aandhi ho,
Tum chanchal sa beej ho,
Foolon ki raani,
Tum gulab ki kali ho,
Tumhe dekhkar makbaro ki malikae bhi hui paani paani,
Tum jab baithakr kisi kaam mai dhyan lagati ho,
To vo kaam bhi sharma jaata hai,
Jo tum use karne aati ho,
Tum jab aankho se palke jhapkakar ,
jhepte hue muskurati ho,
To sara zamana diwana hua jata hai,
Aur tum itraati ho,
Tum kaisi ho? - tabahi,
Aashiko ke dil ki aag,
Karodo dil jal gaye yaha par,
Par tumhe shayad yahi tha raas.
Kyu roz aashiq badalti ho?
Kyu tum hi hamesha?
Jhootha vayda karti ho?
Kyu pyaar tumhara dhokha hai,
Kya yahi tumhara andaaz hai?
Nakli si hassi,
Jhoothi kasme,
Bewafai tumhari badkismati hamari,
Aayyari tumhari ,
ashq hamare,
Makkari tumhaari,
mohra ham,
talwar tumhari ,
talashi hamari,
Zanjeer tumhari ,
jakhmi ham,
Masoomiyat tumhari , maayusi ham,
Galatfahmi hai tumhaari,
Ki ham jaise bahut mil jaaege ,
Duniya ko tarashne nikalo,
Dekhte hai kitne nazar aaege,
Aandhi bhi andheri hai,
Bistar hote hai banjar,
Jab bafai ke badle bevafai milti hai,
Tab khamoshi se chalte hai khanjar,
Dil mai udaasi nhi,
Barhaali aati hai,
Seene mai silvate,
Aankho mai gumnami chaati hai.
Uff uff karke aah- aah nikalti hai,
Ruh kaap uthati hai,
Janaje jal uthate hai,
Par na maut aati hai,
Na jindagi fisalti hai,
Mai shayar nhi hui,
Bahut badi,
Bass kuch kisse byan karti hui,
Abhi kahani banane mai vakt hai inhe,
Isliye kahne se darti hui,
Ye kalam na sach likhta hai,
Jhooth par to tikta hi nhi,
Ye kya gajab likhta hai,
Aajkal to meri bhi sunta hi nhi,
Bhatak gayi mai fir,
Apni rah se,
Kaagazo ko kasmasahat se sek rhi thi,
Par kalam ne kagaz ko pakad liya,
Aur apni raah mai use apna kar liya.
Vo sahil bhi salamat hai,
Vo mohatarma bhi mashhoor hai,
Dhokhe dono dete hai,
Par aakhiri mai to hamara dil hi majboor hai,
Vo karte hai vahi,
Jo unhe karna hota hai,
Vo sunte kisi ki nahi,
Unhe to kudh hi se ,
ladna hota hai ,
Inn ajnabiyo ke mulk mai,
Mai maksad khoj rhi thi,
Kala ka kasba banane ke liye,
Tum mil gye aur maine kitab bana daali,
Mai makbaro ki manjil par,
Misaal khojh rahi thi,
Tum khil gye aur maine fir sayahi nayi mangva li,
Ab kala ka kya hai?
Vo kalakar ki nhi,
Kirdar ki bhukhi hoti hai,
Ab vafa ka kya hai,
Vo vafadaar ki nhi,
Pyaar ki bhukhi hoti hai,
Mai ab kisso ki kahaniyan bana rhi hui,
Kahaniyon ki kitab,
Tum bass yahi khade raho,
Ghar chalenge iss baar dono sath sath...
Leeza
Comments
Post a Comment