Tu Tu rah, tu khudme kaafi hai

 Tu tu rah, 

    Tu khudh mai kaafi hai.


Tu mukkadar ka tavassur kar,

Ya shamsheer ka shok mana.

Tu mere andar barhali laa,

Ya mere saare gam peeja.


Tu Machli ko tairne de,

Aur chidiya ko de uda,

Tu gumnami ke andhere se mujhe bacha,

Ya aaj raat uss andhere mein mera hoja.


Tu bageeche ko mahkane de,

Aur barsaat ko jhamjhamane ka mauka to de.

Tu mujhe beech raaste mai akela chod jaa,

Ya poori zindagi mera saath nibha.


Tu kagaz ko kalam ke dabav ko sahane de,

Aur haathon ko kalakar ka mohra de,

Tu inn ajnabiyo ke beech apna banakar to dikha,

Varna vahi kar jo aajtak hai, tune akasar kara aur hai seekha.


Tu chadar ko sarkane de,

aur bistar se uth kadha hoja,

Tu kudh ko aaine mai dekhkar itra,

Ya sukoon se auro ki tarah bistar par apne sar ko  de sahla.


Tu gaddaro ki giroh mai gaddari kar,

ya pakijaayo ka naam ban,

Tu hawas ke kahar mai doob ja,

Ya dil ke Samandar ko khula chodhkar bhool ja .


Tu band aankho se raat ko sapna dekh,.

Aur  khuli aankho se usse poora kar,

Tu jahni ban ke jo soche vo poora kar le,

Varna baakiyo ke tarah aur mauke leta ja.


Tu kal par taal de,

Ya aaj kar dikha,

Farak jyada nhi hai,

par ye tere kirdar ko kar deta hai bayan.


Tu khule aasman mai nakashiyan bana,

aur sitaro ko jameen par  utaar la,

Tu gumnami se ubb kar mar jaa,

Ya gunah ki malkiyat mai bhi naam kama .


Tu beech barhali mai bavandar macha,

Ya saadhu sant ban jaa,

Tu shahno- shaukat mai apni neknami gava,

Ya andhere kue mai bhi char chaman laga.


Tu gaana ga,

Tu sitar  baja,

tu ashq baha kar shok mana,

Ya gam ke aasoon se bhi fool seencha.


Tu Kudrat ka karishma ban,

tu kamal ka kohram macha,

To badkismati ki shokhiyan  gaa,

Ya badjaat kahlane par bhi kuch kar dikha.


Tu tu ban,

Par tune to , uske jaisa banana  hai chaha,

Tu gustaakhi ke giroh mai kalesh macha,

Ya junoon ki shaukiyat mai naam kama.


Tu unmaado mai aas jaga,

Tu ummeedon mai Ullass la,

Tu nakhush hokar sabko bata,

Ki tu kush hai aur kuch kar dikha.

Tu kaliyon ki mahak ban,

Kamal ka kalam ban,

Tu janbajon ki jaani maani hasti ban,

Aur janazon par bhi de muskuran.


Leeza

Comments

Popular Posts