Hasaraton ke aage
Hasarato se aage
1) Inn gairo ke shahar main,
Maine tumhe apna maan liya.
Inn beparvaho ki basti mai,
Maine Tumharee alfaso ko hamdard samjhakr,
Tumhara haath thaam liya.
Bhool thi meri,
Par ab tumhe bhool jana chahti hui.
Sukoon mai thi pahle mai,
Ab to baichaini mai hi kudh ko paati hui.
Fir bhi ummeed thi mujhe,
Tum badal jaaoge.
Par dekho kya se kya hogya,
Tum vaise ke vaise hi ho,
Tumhe pane ki dua , tumhe chahne ka gam
Aur nhi saha jata,
Kadar na karne ka tumhara bachkana sa sitam
2) Ek akela sa akelapan,
Ye Barasat mujhe thamha gayi.
Ek khali sa khalipan,
Mai alfazo ke neeche daba gyi.
Ye soch soch kar ,
Mai ab tanha se akeli ho jaati hui.
Ki tumse mohabbat karke,
Mai mohabbat karna bhula gyi.
3) Mausam badalte rahte hai,
Jaise log apne rang badalte hai.
Par vo rang kaunsa hai,
Jisse badal badal kar, sau nakab pahankar bhi itne khuubhsurat log lagte hai.
4) Aankho ke beech mai nami hai,
Ungliyon ke beech mai kalam.
Maathe ke beech mein shikan hai,
Aur dil ke beech mai draar.
Sakpaka rahi hui abhi,
Kal ko shyad khul kar kah bhi du.
Mujhe beech mai chodhkar tum bechare banane ka dikhava mat karo,
Mai aaj nhi to kal tumhare jaane ke gam ko bhi sah lungi.
Ro lungi, cheekh lungi.
Apne aap se hi apni nam aankhe pooch lungi.
Par palat ke nhi dekhungi,
Ek baar jo chali gayi to dobara kabhi nahi lautungi.
Vaayda hai tumse...
5) Tum mere unn bagiche ke foolon ki tarah ho,
Jinhe aaj nhi to kal murjhana hi hota hai.
Tum mere dil aur dimag ke beech mai kashmakash ka karan ho,
Jisme dimag ko ant mai jeet Jaana hi hota hain.
6) Mai mazak nhi kar rhi aaj,
Par sachme chubhane lage ho tum mujhe aajkal.
Mai iktafaq nhi rakhti har baat se jo tum kahte ho,
Par sachme kisi baat se nhi rakh rhi mai aajkal.
7) Aazaad ho udd jaao.
Mohabbat ek dhokha hai.
Sirfire aashiq se poocho.
Kitna sambhalne ka isme mauka hai.
Par sambhalne mai deri kar di.
Girte gye uski yaadon ki bahar mai .
Aaj zindagi jeeni si mushkil lagti hai.
Uske bichadne ke Ahsaas mai.
8) Tum bhi jaao,
Mai bhi chalti hui.
Laut kar vapas mat aana kabhi,
Chalo der ho rhi hai, mai bhi hamesha ke liye nikalti huu.
9) Afsoos aur alfaaz ,
dono hi bada dard dete hai,
Ek gam bhulane nhi deta,
Ek gam btane nhi deta .
Par kya kare...
Bhulne layak gam ho ,
To vo gam kaha.
Aur yaad karne layak uski
Bekadri ho,
To vo acha bekadar kaha?
Par vakt har cheez Mita deta hai,
Har ghav ko narmi se sahla deta hai.
Mujhe kal tum chodh nhi rhe the,
Aaj bahut kush ho uske saath.
Saccha pyar to tum mujhse bhi karte the na?
To kya vakt ne gam peena seekha diya,
Ya vakt ke saath tum samjhdar ho gye?
Jo bhi ho acha hai,
Tumhare chehre ki muskan to aaj bhi mujhe,
Muskurane par majoboor kar deti hai.
Pyaar to sacha hi tha na,
Poora nhi hua to kyaa... vo tumhari bekadari...
Gam bhi sacha hi tha...
Vakt ne bhar diya...to vo uski vafa.
Leeza
Comments
Post a Comment